Hamal kay hawaly say janna isleay boht zarori hai q kih aoulad ki khwahish to har shadi shuda jory (جوڑے) ke dil mein hoti hai. magar humaray muashray mein nay (نئے) shadi shuda joron (جوڑوں) ko is hawalay say kisi qisam ki malomat dena by sharmi samjhi jati hai. is waja se nojawan jore ki maloomat ka zareya sirf suni sunai batain reh jati hai.
Jis ki sadaqat ko jhanchne (جانچنے) ka un ke pass koi tareqa nahi hota. Is leay la ilmi ke sabab nuqsan uthany se behtar hai ke insan is hawalay se waqt se pehlay malomat hasil kar lay.
Hamal Kaisey Tehrta Hai?
Aik mahwari say lay kar dusri mahwari tak ka darmiani waqfa aik cycle kehlata hai. jis ke douran aurat ke andar moujoud anday mahinay mein aik dafa tayyar hotay hain. jab anday mature ho jay hai wo ovary se bahir kharij ho jaty hai, ye amal ovulation kehlata hai.
Mard aur aurat ke milap ke natejay mein hazaro ki tadad mein sperms aurat ki bachay dani mein dakhil hotay hain. jahan fallopian tube mein moujod ando ke sath un ka milap hota hai, agr ye milap kamyabi sy ho jay to is say hamal tehr jata hai.
Lekin agar aisa na ho sakay to anday reham ki dewaron mein jazb ho jatay hain. aur phir aglay mah nay anday bantay hain.
Hamal Ke Tehrane Kay Liay Milap Ka Behtreen Waqt
Pregnancy ke imkanat ko badhane ke leay mahwari ke dino ke ilawa, baqi dino mein ovulation period kay douran milap karna hamal ke tehrne ke imkanat ko barha deta hai q kih ovulation period ke douran milap ke nateejay mein hamal tehrne kay imkanat bohat ziyada hoty hain.
Hamal Tehrane Kay Leay Humbistari Ka Tariqa
Yad rakhain kih humbistari ke tareqay ka hamal ke tehrne se koi talluq nahi hota. mian biwi (میاں بیوی) ke milap ke natejay mein aurat ke jism mein dakhil honay walay sperm agr mature ando ke sath milap kar lay to hamal tehr jata hai. Iska sex position kay sath koi taluq nahi.
Hamal Ke Liye Ovulation Ka Behtreen Waqt Konsa Hai?
Ovulation period ke douran hamal ke tehrne ke imkanat sab se ziyada hotay hain. ye waqt anay wali mahwari ke 10 se 16 din qabal hota hai. Is leay apko apni mahwari ke dino kay hisab ko note kar laina chay.
Iskay leay ap google playstore par dastiab ovulation apps ko download kar kay ba asani pata laga sakty hy.ovulation ke dino mein baqaidghi se milap kary. Jis se hamal ke tehrne ke imkanat barh jaingy.
Ovulation ka pata lagany kay chand totkay darj zail hai:
Jism Ka Darja Hararat
Agar mahwari ke cycle ke douran baqaidagi (باقاعدگی) se subah jagne ke bad aurat apne jism ka darja hararat note kere.
Aur jis din us ke jism ke darja hararat mein 0.2 degree tak ka izafa ho tu is ka matlab hai kih is ke ovulation period ka aghaz ho gia hai. Is douran agr humbistari karny say pregnancy kay chances barh jaingy.
Ovulation days maloom karne wali kit
Medical stores mein aisi kit dastiab hoti hai jo ovulation kay bary mein aik asan pishab test ke zariye ghar baity bta sakti hai kih ovulation period kab start hony wala hy.
Isky leay agli mahwari se qabal apne cycle ke mutabiq muqarara dinon mein apko apny pishab ka test karna hota hai jis say ovulation days ka ba asani pata lag jata hai.
Hamal Tehrane Ka Asan Tarika
Hamal tehrane ka sab say asan tarika ye hai kih ap ovulation days kay douran humbistari kare.
Ovulation Days Ka Pata Kaise Lagaen?
Ovulation days malom karny kay leay google palystore mein kafi sari apps jaisy “get baby” waghira moujood hai, in apps ko download kar kai iski madad say apni ovulation days ka pata laga sakty hai.
Doctor Se Mashwara
Agr ye sari tips try karny kai bad bhi hamal nahi tehr raha to phir apko kisi achi gynecologist kay pass jana chay jo ap aur apky husband kai test kar kay apko behtr guide kar saky ghi.
Baz aouqat mard bhi banj pan ka shikar hota hai isleay mard ko bhi sperm test karwana chay takih behtr ilaj ho saky.
Final Words
Yaha par hamal tehrane ki sirf chand tips ka zikar kya gya hy baqi hamal tehrana na tehrana ALLAH kay hath mein hai.
Isleay in tips par amal karne kai sath sath 5 waqt ki namaz ki pabandi kary aur ALLAH say dua kary kih wo apko aoulad jaisi naimat say nawaz dy ameen suma ameen.