Jaryan ka ilaj kya hai

Jaryan Kya Hai? Aur Jaryan Ka Ilaj Kya Hai?

Jaryan say murad wo safaid madah hai jo pishab ya rafa hajat ke baad ya pehlay mard ke zaker ( penis ) se kharij hota hai.

Neem hakeem isay aik bohat hi khatarnak jinsi bemari qarar daity hain jiska haqeqat sy koi taluq nahi.

Jaryan Ky Baray Mein Mashoor Ghalat Fehmiya

Jaryan ke hawalay se mukhtalif logon ne ghalat fehmiya phailai hui hain jin ka haqeeqat ke sath koi talluq nahi .

Baaz log kehte hai kih jaryan se :

1. Dimagh kamzor ho jata hai. parhnay ko dil nahi chahta aur parhnay ke bawajood kuch yaad nahi hota.

2. Benaye (بینائی)kamzor honay lagti hai.

3. Asaab kamzor ho jatay hain, terha terha (طرح طرح) ky khauf taari (طاری) ho jatay hain, Zara zara se bat par ghabrahat hoti hai. 

4. Chusti chalaki khatam ho jati hai, chehra by ronaq ho jata hai. badan sust aur kamzor honay lagta hai. zara si mehnat mushaqqat se badan thak jata hai.

5. kisi kam ka dil nahi chahta.

6. Tangon (ٹانگوں) aur kamar mein dard honay lagta hai.

7. Mizaj mein chirchira pan (چڑچڑاپن) peda ho jata hai.

8. Ehsas kamtare ka shikar ho jata hai aur kisi se ankh mila kar bat karne ka hosla nahi rehta.

9. Logo mein ya kisi mehfil mein jane se ghabrata (گھبراتا ) hai.

10. Aksar udaas (اداس) rehta hai.

Jaryan Ka Ilaj

Jaryan Ka ilaj or Jaryan Treatment

Agar aap kabhi akhbarat (اخبارات) ky ishtihar, dewar par likhay ishtiharat ya social media par ishtiharat ka jaiza lay to ap ko mehsoos hoga kih sari qoum mardana kamzori ka shikar hai aur is qoum ka sab se bara masla jaryan ka ilaj ya mardana kamzori hai. 

Nojawan jaryan ka ilaj par hazaron kharch kar dete hain magar kuch farq nahi parta, q kih haqeeqat mein ye koi bemari nahi hai.

Yeh pishaab ki nali (urethral gland) se niklny wala madah (مادہ) hota hai jo umooman us waqt nikalta hai jab koi shakhs pishab ya pakhana ke waqt zor lagata hai.

Baaz auqat jinsi hejaan ya Ehtelam waghera ki wajah se kuch mani kharij ho jati hai chunkay pishaab ki nali sedhi nahi balkih english ky harf S ke shakal ki hai jis ki wajah se saari mani kharij nahi hoti. balkih mani ke aik do qatray pishaab ke nali ky nechly taidhy (ٹیڑھے) hissay mein reh jatay hain.

Chunkih (چونکہ) pishab aur mani ky ikhraj ka aik hi rasta hai chunancha (چنانچہ) jab mard pishab karta hai to yeh bachi hui mani pishab ke pehlay qatroun ke sath bahar aa jati hai.

Aik mashahor mahir nafsiat (Psychologist) dr arshad javed jo mardana amraz ka bhi mahir hai apni kitaab mein likhtey hai kih aik ghareeb nojawan jaryan ka ilaj ky liye unky pass aaya.

Aur us ne bataya kih is bemari ki wajah se woh bohat kamzor ho chuka hai. is se pehlay wo lahore ky aik mashahor doctor sy ilaj bhi karwa chuka hy.

Nojawan ny kisi se 30 hazar ruppay udhar ly kar doctor ko jaryan kai ilaj ky liye diye magar ilaj se farq nahi para. 

Professor arshad javed  likhtey hai kih unho ny us  nojawan ko bataya kih jaryan koi bemari nahi hai aur na jaryan ka koi ilaj hai.

Balkih wo sirf apni soch ko badal ly kih jaryan na tu koi bemari hai aur na he is ka koi nuqsaan hai.

Kuch arsa baad nojawan ne usay bataya kih masla to ab bhi mojod hai magar ab usay kamzori nahi.

Medical nuqta nazar sy is naam Nihad jaryan ki koi ahmiyat nahi hai aur na hi ye kisi bemari ya kamzori ki alamat hai jaryan ka ilaj ki koi zaroorat nahi Q kih ye aik fitri amal ( natural process) hai. Isleay in naam nihad hakeemo say bachy, nahi tu wo apko jaryan ka ilaj ky naam par loot laingy.

Disclaimer: The information in this article is for educational purposes only, and it is not personalised medical advice for your specific condition. Always seek advice from your physician or other qualified healthcare provider before following any suggestions or treatments mentioned in this article.

Similar Posts

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *