Banjh Pan Kya Hai?
Aolad ka hona ALLAH ka aik nayab tohfa hai, har insan ki khwahish hoti hai kih uski naik salih aolad ho.
Aik shadi shuda jory ki Zindaghi us waqt tak adhori hoti hai jab tak uski godh (گود) mein aolad jaisi naimat na a jay.
Bahisiyat musalman humara eman aur yaqeen hai kih naik salih aolad waldain kay leay bakhshish ka zarya banti hai.
Bay aoladi (بےاولادی) ka jab bhi zikar ay to humary zehno mein yahi khyal ata hai kih iski waja aurt he hoghi. Is waja say boht sari aurtain parishan ho jati hai aur depression ka shikar bhi ho jati hai.
Halankih ye zarori nahi kih bay aoladi ki waja sirf aurat he ho. Bay aoladi ki waja mard hazrat bhi hoty hai.
Aik Research kay mutabiq miyan biwi agr aik sal tak azdawaji taluq qaim kary aur usky bawajood hamal na tehry to ye banjh pan kehlata hai.
Banjh Pan Ki Alamat
Mard aur aurat mein banjh pan ki alamat mukhtalif hoti hai.
Mardo Mein Banjh Pan Ki Alamat
- Jinsi khwahish mein kami
- Khasion (خصیوں) mein sojan (سوجن) ya dard
- Anzal yani farigh hoty waqt azu tanasul mein dard
- Khasion kay gird rago ka soaj jana
- Mardana kamzori ya surat e anzal ka hona
- Mubashrat ki khwahish mein kami ana
Khawateen Mein Banjh Pan Ki Alamat
- Bacha dani ka darja harart barqarar na rehna
- Calcium (کیلشیم) ki kami ho jana
- Likoria ka hona
- Ayami Haiz ki bay tartebi
- Jinsi khwahish ki kami
- Periods achank baghair kisi waja kay rok jana
- Balo (بالوں) ka ghirna
- Mubashrat karty waqt dard ka hona
Banjh Pan Ki Wajohat
Jaisy mard aur aurt mein banjh pan ki alamat mukhtalif hoti hai aisy he wajohat bhi mukhtalif hoti hay.
Mardo Mein Banjh Pan Ki Wajohat
Ziyada tar mardo mein banjh pan ki Wajohat mein shamil hain:
- Mani mein sperm ka kam hona
- Sperm ki harkat mein masla ( jab sperm sahi say female kay anddy (انڈے) ko nahi phunchty)
- Varicocele (Is mein mardana aza ki ragain (رگیں) soaj jati hai, ye khoon ki normal supply ko disturb karti hai)
- Hernia (ہرنیا) ki surgery karwai ho
Iskay ilawa harmones imbalance, sugar, jinyati masail aur cigarette noshi ki waja say bhi banjh pan ho sakti hai.
Aurto Mein Banjh Pan Ki Wajohat
Aurto mein banjh pan ki wajohat mardon ki nisbat mukhtalif hoti hai. Jin Wajohat mein ziyada tar:
- Bacha dani kay amraz
- Baiza dani say anddy ka na nikalna (aurto mein mahiny mein aik dafa baiza dani say anda nikalta hai jo phir bacha dani mein mard kay sperm kay sath milap karta hai aur is natijay mein aik bacha paida hota hai)
- Fallopian tube ka band hona ( fallopian tube agr block ho to sperm anddy tak nahi phunchty)
- Baiza dani mein anddy ki quality ka acha na hona
- Agr aik say zaid bar asqati hamal (اسقاط حمل) ho jay
- Koi nafsiati bimari ho
Banjh Pan Ka Pata lagana
Agr ap conceive (hamla hona) karny ki koshish kar rahy hai aur abhi tak nahi kar pay, aur ap soch rahy hai kih kab apko doctor kay pass jana chay.
To is article ko parhty rahy ta kih apko pata lag jay kih kab apko doctor kay pass jana chay aur wo konsy test kary ga.
Mardo Kay Leay
Agr koi mard pichly aik sal say apni biwi kay sath mubashrat kar raha hai aur phir bhi wo hamla nahi ho rahi ya us mard mein mandarja zail alamat hai to usay doctor kay pass jana chay:
- Agr Mardana kamzori ka shikar hai
- Surat e anzal ka masla ho yani mard jaldi farigh hota ho
- Delayed ejaculation ho yani mard farigh he na hota ho
- Mubashrat (sex) karny ka dil na karta ho
- Khasion (خصیوں) mein dard, sozaish, ya sojan ho
- Azu tanasul ya khasion waghira ka operation hwa ho
Doctor Say Mashwara
Jab ap doctor kay pass jaingy to wo apki medical history lay ga. Is doran wo apki normal sehat kay bary mein pochay ga, apki jinsi sehat kay bary mein tafseel malom kary ga, aur un awamil (عوامل) ko malom kary ga jo apki fertility par asar andaz hoty ho.
Isky bad wo apki semen analysis test kary ga. Semen analysis mein apny laboratory ko apni semen (mani) deni hoti hay jisky bad wo daikhty hai kih is mein kitny sperms moujood hai, inki shape normal hai aur wo sahi say harkat kar rahy hai ya nahi.
Aurton Kay Leay
Aurt ki fertility (bachy paida karny ki salahiyat) 30 sal kay bad kam hona shoro ho jati hai. Jin aurton ki umer 30 sal say kam ho aur wo 1 sal say mubashrat kar rahi ho likan hamal na tehar raha ho to unko lady doctor kay pass jana chay.
Aur jin aurton ki umer 35 say ziyada ho to unko 6 mahiny baad lady doctor kay pass jana chay agr wo conceive nahi kar parhi to.
Lady Doctor Say Mashwara
Jab ap lady doctor kay paas jayenge, to woh apki medical history lay ghi. Apki normal sehat kay bary mein malom kary ghi, apki jinsi sehat kay bary mein tafseelat hasil kary ghi, aur un factors ka jaiza lay ghi jo apki fertility par asar andaz hoty ho.
- Wo apki pelvic area (pait aur andam nahani kay aas pass) ka moaina (معائنہ) kary ghi.
- Apki doctor check kary ghi kih apki baiza dani mein andda har mahiny ata hai ya nahi.
- Ghar mein bhi ovulation testing kit kay zariay pata lagaya ja sakta hai ya apki doctor blood test kay zariay malom kary ghi.
- Ho sakta hay wo apki pishab ki jaga ka ultrasound bhi kary.
Baqi test jo wo lay sakti hai un mein:
- hysterosalpingography, ye aik qisam ka X-ray hota hai jis say aurt ki bacha dani aur fallopian tubes (aik sakht (ساخت) jo anddy ko bcha dani mein muntaqil karti hai) ko daikha jata hai
- Laparoscopy, is mein aik camera ka istimal kya jata hai jis say androni aza ko daikha jata hai
- Kuch different types kay harmones test
Banjh Pan Ka ilaj
Banjh pan ka ilaj mard aur aurt kay leay mukhtalif hota hai aur is mein boht sary factors daikh kar ilaj kya jata hai.
Mardana Banjh Pan Ka ilaj
Mardana banjh pan mukhtalif wajohat ki waja say hota hai, isleay us waja ko dour kar kay iska ilaj kya jata hai jaisy:
Infection
Agr mard ki sperms mein infection ho to anti biotics ka istimal kar kay usko dour kya jata hai.
Surgery
Varicocele ya rago ki sojan waghira ka koi masla ho to usay surgery ki madad say dour kya jata hai.
Adwiyaat Say ilaj
Banjh pan ko dour karny kay leay Adwiyaat ka bhi istimal kya jata hai. Un Adwiyaat mein hormonal imbalances ki medicine ya multivitamin waghira ka istimal shamil hai.
Mardana Banjh Pan Ka Khorak Kay Zariay ilaj
Kisi bhi bimari mein khorak aik eham kirdar ada karti hai. Banjh pan mein mandarja zail khorakain apky leay faida mand ho sakti hai.
- Dry fruits
- Chaqandar
- Anar
- Palak (پالک)
- Dalain (دالیں)
Zanana Banjh Pan Ka ilaj
Zanana banjh pan ka ilaj bhi mukhtalif tariqo say kya jata hai jin mein kuch ye hai:
Surgery
Surgery normally nahi ki jati aur na ziyada tar doctor isay recommend karty hai likan agr masla ziyada ho aur tube block ho to phir surgery ka sahara (سہارا) liya jata hai.
Adwiyaat say ilaj
Ziyada tar cases mein doctor medicine day kar iska ilaj karty hai. In mein hormone imbalance, calcium aur vitamins waghira ki medicine shamil hoti hai.
Khorak Say ilaj
Apko apni doctor say healthy diet plan jo fertility kay leay acha ho laina chay.
Rozmara Zindagi Mein Tabdeli
Kuch khawateen apni rozmara Zindagi mein Tabdeli la kar banjh pan ka ilaj kar sakti hai jaisay agr weight ziyada ho to usko kam kar kay ya halki phulki exercise kar kay.
Final Words
Yaha jo batain (باتیں) discuss hwi hai ye just aik khulasa hai isky ilawa bhi kafi sary awamil ho sakty hai. Isleay agr apko banjh pan ka masla hay to kisi mahir doctor say rabta kar lay wo in sha ALLAH apka behtr ilaj kary ga.
ilaj kay baad ALLAH par bharosa rakhy aoulad dena na daina usky ikhtiyar mein hai. Kafi cases mein miyan biwi bilkul thik hoty hai, unki reports bhi bilkul normal hoti hai likan phir bhi unki aould nahi ho rahi hoti.
Isleay mayos nahi hona chay aur ALLAH par yaqeen rakhy wo in sha ALLAH apky haq mein behtr kary ga.