Qabz ka ilaj kya hai, qabz ka gharelo ilaj,qabz ka syrup

Qabz Kya Hai?

Qabz aik aam masla hai aur dunya bhar mein karorro (کروڑوں) afrad ko rozana is ka samna karna parta hai jis ki waja se un ki zindagi mein mushkilat paida ho jati hain.

Ziyada tar afrad ko is maslay ka samna ramadan (رمضان) al mubarak mein karna parta hai q ke roza rakhnay ki waja se pani ka istemal kam ho jata hai.

Logo ke nazdik qabz aik mamoli masla hota hai lekin ye masla kisi khatarnak bemari jaisa kih diabities ya cancer ki alamat bhi ho sakta hai. is liye mahireen kehte hain kih is maslay ko mamoli samajh kar nazar andaz nahi karna chay.

Mahireen kay mutabiq agr apko kai din say pakhana na ay aur jab ay to wo boht sakht ho aur zor lagana par raha ho aur takleef ho rahi ho to ye qabz hai.

Qabz Ki Alamat 

  • Ulti (vomiting) ka ana 
  • Pait dard
  • Pakhanay ka khushk aur sakht ho jana 
  • Pakhana kam ana
  • Hazma ka khrab hona aur bhook ka na lagna 
  • Pakhana karte waqt takleef ka samna karna 
  • Nend ki kami

Ye qabz ki sirf chand aik alamat thi Isky ilawa bhi alamat ho sakti hai.

Qabz Ki Wajohat 

Qabz ki jo momkina wajohat ho sakti hai un mein:

  • Khany mein fiber ki kami 
  • Pani ka kam istemal
  • Anton (آنتو ں) ki bemariyan
  • Tarz-e-zindagi mein tabdeli (jaisay kih safar mein hona, hamla hona, ya barhti (بڑھتی) umar.
  • Medicine kay side effects (baaz medicine qabz ka bais banti hain jaisy blood pressure, depression, pain waghira ki medicine).
  • Pakhanay ko ziyada dair tak rokay rakhna

Qabz Say Paida Hony Wali Bemarian 

Qabz agr ziyada arsa rahy to is say mazeed bimarian paida ho jati hai jaisy:

  • Bawaser (بواسیر)
  • Bari (بڑی) aant mein nuqsan deh ajza ka jama ho jana jo pakhanay ke zariye kharij hotay hai
  • Pakhana roknay mein mushkilat

Qabz Ka Gharelo Ilaj

Qabz ki alamat ko asani ke sath gharelo ilaj ke zariye khatam kya ja sakta hai jaisy:

Castor Oil (ارنڈے کا تیل) 

Is bemari ki alamat ko khatam karne ke liye castor oil kai barson se istemal ho raha hai. darasal is tail mein aisay ajza shamil hotay hain jo apki choti aur bari anton (آنتوں) ko harkat mein la kar is ki alamat se nijat dilatey hain.

Is tail ke aik se do chai ke chamach khali pait istemal karne se sirf 8 ghanton mein mosbet asrat zahir hona shuru ho jaty hain.

Probiotic Ghizaon Ka Istemal

Aisi ghizain (غذائیں) jin mein probiotic (پروبائیوٹکس) wafar miqdar mein paya jata hai, is bemari ki shiddat ko kam karny ke liye madadgar sabit ho sakti hain.

Dahi aur dodh mein probiotic wafar miqdar mein paya jata hai jo maiday mein moujod faida mand bacteria ki miqdar barhata hai jis se qabz ki rok tham mein madad milti hai.

Ziyada Pani Ka Istemal

Aam tour par jism mein pani ki kami is bemari ka bais (باعث) banti hai is liye ziyada tar log ramadan al mubarak mein iska shikar ho jatay hain.

Is se bachny ka behtaren hal ye hai kih munasib miqdar mein pani piya jaye. taham is bemari kay shikar afrad bhi ziyada pani istemal kar ke relief hasil kar sakte hain. munasib miqdar mein pani penay ki adat apna lay jo qabz se bachao mein mufed sabit hoghi.

Qabz Mein Khushk Alo Bukhara Ka Istimal 

Alo bukhara ka juice qabz ki shiddat ko kam karne ka behtareen totka hai lekin ye phal sara sal dastyab nahi hota is liye is ko khushk kar kay sara sal istemal kya ja sakta hai. kuch mahiren ke mutabiq is bemari ki shiddat ko kam karne ke liye alo bukhara fibre se ziyada muaser ho sakta hai.

Alo bukhara ke 7 khushk danay din mein 2 martaba istemal karne se is bemari ki alamat ko kam kya ja sakta hai. taham maiday ke amraz kay shikar afrad is totkay ko apne doctor ke mashwaray ke bad istemal kary.

Warzish Kary

Ziyada dair baith kar kam karnay waly afrad mein is bimari ki shara ziyada hoti hai, ziyada dair bait kar kam karna  is bemari ke khatrat ko barha deta hain jis se bachney ke liye warzish zaroori hai.

Taham mamoli jismani sargarmia jaisa kih chehal qadmi ya cycle chalana bhi madadgar sabit ho sakta hain. har roz 15 minute tak chehal qadmi karna  khanay ko jald hazam karne mein madad deta hai.

Is ke ilawa agar apko khanay ke bad ghunodghi (غنودگی) ka ehsas ho to chehal qadmi ki adat apnay jis se nizam inhezam mein behtari ay ghi aur ap qabz se bach jayen gy.

Fibre Ki Hamil Ghizao Ka Istemal

Fibre ki hamil ghizain anton ke afaal (افعال) behtar banati hai jis se is bemari ke khatrat kam ho jatay hain. qabz kay shikar afrad ki aksariyat ko fibre ke istimal say is bimari say chutkara milta hai.

Dalon (دالوں), bejon (بیجوں), aur girio (گریوں) mein payi jane wali fibre ki qisam ziyada muaser sabit hoti hai q ke ye qisam maiday mein pani jazb karne ke baad jaili jaisa paste bana deti hai jis se is bemari ki rokh tham hoti hai.

Qabz Mein Lemo Pani Ka Istimal 

Lemo mein moujod citric acid nizam inhizam ko behtar banata hai aur jism se zahreley mawad ko kharij karne mein madad deta hai.

Har roz aik glass lemo pani ya lemo ko sabz chai (green tea) mein istemal karne se hazma behtar hota hai aur is bemari se bachny mein madad millti hai.

Kishmish (کشمش) Ka Istemal

Kishmish aik khushk mewa hai jis mein fibre ke sath sath tartaric acid bhi paya jata hai jo pakhanay ke ikhraj ko asan banata hai. har roz taqreeban 14 gram kishmish istemal karne se nizam inhizam taizi se kam karta hai.

Qabz ki shiddat ko kam karne ke liye khobani, Injeer (انجیر) aur Ispaghol ko bhi istimal kya ja sakta hai ye qabz khatm karny mein kafi mufeed sabit hoty hai.

Coffee (کافی)

Caffeine ki hamil coffee maiday aur anton ko mutharak karti hai jis se qabz ki shiddat mein kami ati hai. is ke sath sath degar garam mashrobat jaisa ke herbal tea bhi is bemari ke khilaf kirdar ada kar sakti hai. behtaren nataij ke liye koshish karen kih herbal tea mein shehad ya lemo ka arq bhi shamil kar lay.

Ye ghizain am tor par nojawano aur baro (بڑوں) mein qabz ki shikayat ko kam karne ke liye istemal ki jati hai. taham bachon ke liye kuch dosray gharelo ilaj mufeed hotay hain.

Bachon Ki Qabz Ka Ilaj

Agar ap ke bachay ko qabz ki alamat ka samna hai to cycle chalanay ke andaz mein is ki tangon ko harkat day aur is ke pait ko sehlay (سہلائے). is ke sath sath ap apne bachay ko munasib miqdar mein aisay phal bhi khila sakte hain jis mein fibre ho.

Qabz ki alamat ko gharelo ilaj ke zariye ba asani khatam kya ja sakta hain. taham agar yeh alamat ziyada arsay tak barqarar rahen to aur bimarion ka khatra barh jata hai.

Qabz ki alamat ziyada dair barqarar rehne ki sorat mein ap ko kisi achy doctor kay pass jana chay.

Qabz Dour Karny Ki Adwiyat 

Qabz kay leay aam tour par doctor jo medicine tajwaiz karty hai un mein shamil hai:

  • Laxoberon tablets
  • Lilac syrup
  • Clearlax Tab 

Likan koi bhi medicine istimal karny say pehly apny doctor kay sath mashwara zaror kary.

Doctor Kay Pass Kab Jana Chay?

Agr apko mandarja zail alamat ho to apko doctor kay pass jana chay:

  • Qabz ki alamat jo 3 hafty guzrnay kay bawajoud bhi thik na ho rahi ho
  • Wo alamat jo apki daily routine ko disturb kary
  • Pakhana kay sath khoon ana shuro ho jay
  • Pakhana ki rangat ya sakht (ساخت) mein ghair mamoli tabdeli a jay
  • Maida (stomach) mein dard jo ruk na raha ho
  • Wazan (وزن) kam hona shuro ho jay

Ye sirf chand aik alamat thi iskay ilawa aur bhi alamt ho sakti hai, isleay jab apko lagy kih ye masla serious hai aur normal routine say hat kar hai to apko foran doctor kay pass jana chay.

Disclaimer: The information in this article is for educational purposes only, and it is not personalised medical advice for your specific condition. Always seek advice from your physician or other qualified healthcare provider before following any suggestions or treatments mentioned in this article.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *