Likoria Kya Hai?
Aurt ki andam nihani (vagina) say nikalny wali safaid ya peli ratobat likoria kehlati hai. neem hakeem likoria ko boht khatrnak bimari qarar dety hai, jabkih aisi koi bat nahi, aur na he ye koi khatrnak bimari hai.
Is ratobat say ghussal farz nahi hota. Apny azaye makhsosa aur shalwar mein jaha ye pani laga ho ko dho kar ap namaz parh sakti hai.
Ye aik normal amal hai jo andam nihani ko saf rakhta hai aur infection say bachata hai. Likan agr ye ziyada ho to phir ye normal nahi aur apko kisi achi gynecologist kay pass jana chay.
Likoria Ki Alamat
Is ki alamat mein shamil hai:
- Andam nihani say safaid ya peely rang ki badbudar (بدبودار) mady (مادے) ka ikhraj
- Pindlio (پنڈلیوں) aur reerh (ریڑھ) ki hadio mein dard
- Susti aur kahili (سستی اور کاہلی)
- Andam nihani mein kharish
- Nizam inhizam kay masail
Likoria Ki Wajohat
Is ki wajohat mein shamil hai:
- Na munasib tarzi Zindagi
- Ghair mutawazan Ghiza khana
- Hormones ki tabdeli
- Fungal infection
- Khoon ki kami
- Sugar
- Kasrati haiz
- Qabz
- Parishani ya tension ka hona
Likoria In Pregnancy Yani Hamal Kay Doran Likoria
Hamal kay doran ye bimari aur bhi barh (بڑھ) jata hai, iski waja hamal kay doran vagina ki tarf blood flow aur estrogen harmones mein izafa hota hai.
Is mein khatry ki koi bat nahi hoti aur jaisy jaisy apki delivery ki date qareeb ati hai ye aur bhi barhny lagti hai.
Likoria Mein Namaz
Boht sari khwateen kay zehn mein ye sawal hota hai kih likoria mein namaz kaisy parhy, aur wo ye masla dusri khwateen ya kisi aisy bandy say pochti hai jisko khud bhi is masly ka ilam nahi hota.
Apko ye bat hamesha zehn mein rakhni chay kih jab bhi koi deen kay related masla pochna ho to kisi authentic mufti say pocha kary.
Isleay mein yaha aik famous mufti, Mufti Tariq Masood sahb ki video post kar raha ho, is video ko daikhny kay bad in sha ALLAH apka ye masla hal ho jay ga.
Likoria Ka Ilaj
Agr is bimari mein thora boht pani kharij ho to is mein parishan hony ki zarorat nahi q kih ye aik normal amal hai.
Likan agr pani ka ikhraj boht ziyada ho, Garha (گاڑھا) ho, ya badbodar (بدبودار) ho to ye amoman (عموماً) vagina ki infection ki waja say hota hai.
Ye bhi koi khatrnak bimari nahi, kisi achi Gynecologist say contact kar kay iska ilaj kya ja sakta hai.
Nichy diye gay kuch tariqo par amal kar kay bhi ap iska ilaj kar sakty hai jaisy:
Antibiotics aur Antifungal Medicine
Agar infection ki waja say ye bimari ho to doctor antibiotics ya antifungal medicine day kar iska ilaj karty hai.
Hormonal Therapy
Agr Hormonal imbalances ki waja say likoria ho to, doctor hormonal therapy ka mashwara daity hai.
Likoria Mein Safai Ka Khas Khyal Rakhain
Is bimari kay ilaj mein safai ka khyal rakhna bhi bohat zarori hai. Apni Sharamgah ko hamesha saf rakhy ta kih kisi qisam kay koi bacteria janam na lay jo bad mein infection ka zarya bany. likoria ki wajohat mein aik waja fungal infection bhi hai.
Likoria Ka Desi Ilaj
Is bimari ko mandarja zail desi ilaj kay zariay bhi khatm kya ja sakta hai:
Zera (زیرہ) ka istimal
Zera ko bhoon (بھون) kar istimal karny say bhi is bimari ko kam kya ja sakta hai. Agr bhoona hwa zera na khaya jay to is mein cheni (چینی) mila kar istimal kya ja sakta hai.
Kelay (کیلے) Ka Istimal
Is bemari mein kelay ka istimal bhi bohat faida mand hai q kih kelay mein aisay ajza pay jatay hain jo likoria ki waja say behnay wali ratobat ko roknay mein madadgar sabit hotay hain.
Is kay sath sath likoria kay douran kelay ka istemal ghizai qillat say bhi mehfooz rakhta hai. koshish karay kih kela khanay ke baad doodh mein shehad mila kar pee lay.
Bhindi Ka Istimal
Likoria kay douran behnay wali ratobat ko roknay kay liay bhindi ka istimal nihayat mufeed hai.
Bhindi ko istimal karny ka tareqa yeh hai ke 4 say 5 bhindiya lay kar un ko pani mein ubaal lay. thanda honay kay bad unko kha lay.
Agar zaiqay ki waja say bhindiya na khayi jay to ap un ko shehad kay sath bhi istimal kar sakty hain.
Likoria Treatment At Home Yani Gharelo (گھریلو) Ilaj
Kuch gharelo tips par amal kar kay bhi ap is ka ilaj kar sakty hai jaisy:
- Ziyada say ziyada pani ka istimal kary
- Taza phal (پھل) aur sabzion ka istimal kary
- Apni khorak mein kela, sangtra, aur kino waghira ko shamil kary
- Haray patoun (ہرے پتوں) wali sabzian khaya kary
- Dahi aur pyaz ka istimal kary
- Ziyada chiknai wali chizo ka istimal bilkul band kardy aur kam chiknai wali chizo ka istimal kary
- Safai ka khas khyal rakhay
- Depression aur tension waghira say bachay, Q kih is say harmons ka tawazun khrab hota hai
Lekin agar ye sab azmany kay bad bhi ye bimari thik na ho to ap ko kisi achi gynecologist kay pass jana chay.
Final Words
Likoria aik aam aur qabil e ilaj bimari hai agar iska sahi taur par ilaj kiya jay to.
Apko ye bat zehn mein rakhni chay kih har aurt ki jismani sakht mukhtalif hoti hai, Is liay Likoria ka ilaj bhi har aurt kay liay mukhtalif ho sakta hai.
Isleay apny doctor kay mashwary par amal kary aur ALLAH par bharosa rakhy in sha ALLAH ye bimari jald he khatam ho jay ghi.