Mahwari kya hai?
Jab larka baloghat (بلوغت) mai dakhil hota hai tu usay rat ko Ehtelam ho jata hai aisy he jab koi larki baloghat mai qadam rakhti hai to uski andam nihani (Vagina) say khoon ana start ho jata hai is khoon any kay amal ko Mahwari kehty hai.
Mahwari ko Haiz, Menses, Ya Periods kay naam say bhi jana jata hai. Isleay apny is article mein in namo ki waja say confuse nahi hona.
Haiz ya mahwari kay bary mai no umer (نوعمر) larkio ko boht sary sawalat hoty hai, jin mai kuch aam sawalat ye hai.
Larkio Ko Mahwari (Haiz) Kab Ana Shuro Hota Hai?
Ziyada tar Larkio ko Mahwari ya haiz tab ata hai jab wo 12 sal kay qareeb ho. Iska inhesar (انحصار) har larki ki jismani sakht par hota hai likan agr ye 10 say 15 sal kay darmiyan a jay tu ye normal hai is mein maslay wali koi bat nahi.
Haiz any ki sahi umer ka andaza to nahi lagaya ja sakta likan kuch aisi alamat hai kih ye jald start ho jay ga.
- Jab larki jawani mai qadam rakhti hai tu uski chatiyon ki nashonuma (چھاتیوں کی نشوونما Breast Development ya pistan ubharna) start hoty hai, is amal kay taqreeban 2 saal bad usko Mahwari any kay imkanat hoty hai.
- Aik aur nishani ye hai kih larki ki pehli mahwari say taqreeban 6 mah ya 1 sal pehly uski andam nihani (vagina) say aik safaid rang ka mada nikalta hai jisay wo apni shalwar ya underwear 🩳 mein mehsos kar sakti hai.
Mahwari ya Haiz Kitni Dair Tak Rehta Hai?
Mahwari ya haiz taqreeban 5 din tak rehta hai likan ye har larki ka kam ya ziyada ho sakta hai.
Haiz ki islam mai mudat kam az kam 3 din 3 ratain hai yani 72 ghanty aur ziyada say ziyada 10 din 10 ratain hai.
Haiz kay ilawa bimari ki waja say bhi khon ata hai jisay istihaza (استحاضہ) kehty hai aur bachy ki pidaish kay baad bhi khon ata hai jisay nifas kehty hai.
Haiz Mahiny Mai Kitni Bar ata Hai?
Haiz aam tour par 28 din baad ata hai, likan kuch larkion ko 28 din say pehly ya baad mai bhi a sakta hai.
Haizi Chakr (Menses Cycle) Kya Hai?
For example aj mahiny ki pehli tarikh hai aur apko aj haiz ka khoon ana start ho gya aur 5 din baad rok gya.
Aur agli bar haiz ka khon apko 28 tarikh ko aya to 1 tarikh jisko khoon ana start hva tha us say lay kar agli 28 tarikh tak jo 28 din hai wo apka aik haizi chakr ya menses cycle kehlai (کہلائے) ga.
Asan alfaz mai agr isay Bayan kary tu jis din apko haiz ka khon ay us din say lay kar jab agli bar apko haiz ka khoon ay us din tak jo darmiyan mai din hoty hai wo aik haizi chakr ya menses cycle kehlata hai.
Haizi Chakr (Menses Cycle) Kitny Din Ka Hota Hai?
Ye cycle har larki ka alag hota hai, ye kisi ka 22 din kisi ka 25 kisi ka 28 aur yaha tak kih baaz khawatin ka 40 din tak bhi hota hai.
Ta hum ye thora boht badal bhi sakta hai, ye zarori nahi kih same he ho likan agr ziyada badalta rahy to phir pregnant hony mai masla a sakta hai isleay phir iska ilaj karwana chay.
Kya Larki Apni Pehli Mahwari Kay Baad Hamla (pregnant) Ho Sakti Hai?
Pehli Mahwari any kay baad larki jawan ho jati hai, agr pehli mahwari kay baad wo mubashrat (sex) kar lay tu wo hamla ho sakti hay.
Yaha tak kih agr wo apny baloghat kay nazdik ho likan usko pehli mahwari na ayi ho to phir bhi wo hamla ho sakti hai q kih wo baloghat kay nazdik hoti hai aur uskay Harmones active hoty hai.
Mahwari Mein Kitna Khoon Ata Hai?
Mahwari mein nikalny wala khoon boht ziyada nazar ata hai likan itna hota nahi, pori Mahwari mein 2, 3 chamach (چمچ) kay brabar (برابر) he khon nikalta hai.
Ziyada tar larkion ko isky leay din mein 2, 3 bar underwear change karna parta (پڑتا) hai.
Kya Ye Mahwari Mujay Zindaghi Bar Ay Ghi?
Jab aurtuain 45 say 55 sal ko phunchti hai to Mahwari mustaqil (permanently) tor par band ho jati hai. Jab aurat hamla ho to usko Mahwari tab bhi nahi ati.
Premenstrual Syndrome (PMS) Kya Hai?
Mahwari shuro hony say pehly ya mahwari kay doran aurton mein kuch jismani aur jazbati alamat ati hai, in alamat ko PMS kehty hai.
In Alamat mein Dard, aodasi, anxiety, acne (کیل مہاسے), tension, aur thakawat shamil hai.
Kuch aurton mai ye alamat shadid hoti hai jinka asar daily life par bhi parta hai. Ye alamat (symptoms) pehly chand dino kay baad khatm ho jati hai.
Mahwari Mein Dard Ka Ilaj Kya Hai?
Kuch khawateen ko Mahwari mein takleef hoti hai khas kar shuro kay dino mein. agr dard ziyada ho to isko panadol ya ibuprofen say control kya ja sakta hai.
Haiz Ke Masail
Aksar larkion ko Mahwari mein masail ka samana nahi karna parta, likan baaz ko karna bhi parta hai.
Agr apko bhi in mein say kisi masly ka samna hai to apko kisi achi Gynecologist kay pass jana chay:
- Agr ap 15 sal ki hai aur abhi tak apko pehli mahwari nhi ayi
- Agr apky periods regular nahi a rahy
- Boht ziyada khoon a raha hai
- Boht ziyada dard ho raha hai aur wo dard panadol ya ibuprofen say thik nahi ho raha
- 7 din guzarnay kay baad bhi periods khatm nahi ho rahy
- PMS boht ziyada hai jo apki daily life ko disturb kar raha hai
Haiz Ki Halat Mein Humbistari
Islam mein Haiz kay doran mubashrat karna sakht gunah aur haram hai, aur isky kafi nuqsanat bhi hai.
Haiz ki halt mein ap biwi kay qareeb ja sakty hai, us say piyar kar sakty hai, Likan mubashrat (sex) nahi kar sakty.
Haiz Ke Kitne Din Baad Nahana Chahiye?
Ye aik sharai (شرعی) masla hay aur sharai masla mein kisi authentic mufti ki rai (رائے) par he aitbar kya ja sakta hai isleay ap Mufti Tariq Masood ki ye video daikh lay is mein apko apni sawal ka jawab mil jay ga.
Haiz Me Humbistari Ka Kaffara
Haiz ki halt mein Humbistari karna sakht gunah hai. Agr aisa ho jay to iska koi khas kaffara to nahi likan mian biwi duno ko sharmindaghi aur nidadamt kay sath ALLAH ki bargah mein roty hvy toba karni chay aur ainda is say bachny ka ehtimam karna chay.
Haiz Ki Halat Mein Nikah Ho Jata Hai?
G Haiz ki halat mein Nikah ho jata hai ye jaiz (جائز) hai. likan haiz ki halat mein Humbistari haram hai aur Gunah E Kabira (گناہ کبیرہ) hai.
Haiz Ya Menses Kay Sharai (شرعی) Masail
Haiz kay kuch sharai masail jo har larki kay zehn mein aty hai:
- Gusle haiz ka tarika
- Haiz aur nifas in urdu
- Roze ki halat me haiz a jaye to
- Haiz mein roza rakhna
- Haiz ki halat mein darood parhna
- Haiz ki halat mein tasbeeh
- Haiz ki halat mein ibadat kaise kare
- Kya haiz me quran parhna thik hai
- Haiz ke ahkam
- Haiz ki halat mein namaz
- Haiz ki muddat
- khwab mein haiz dekhna
Haiz kay masail ho ya koi aur sharai (شرعی) masla iskly leay apko kisi authentic mufti say rabta karna chay. Aik aam banda is mein apni rai nahi day sakta q kih is mein iman jany ka khatra hota hai.
Aur sharai (شرعی) masail sikhny mein wesy bhi boht ziyada ehtiat karni chay internet par har maslak (مسلک) kay log moujood hoty hai, apko pata he nahi chalta kih apky maslak wala konsa hai aur iska bhi aitbar nahi hota kih wo authentic hay ya nahi.
Isleay agr apko koi masla pochna ho to apni kisi qareebi Darul ifta jo apki maslak ka ho say poch sakty hai. aur aj kal to in Darul ifta kay number bhi internet par moujood hoty hai. ap unky sath call par bhi rabta kar sakty hai.
Agr apka taluq Ahle Sunnat say hai to ap pakistan mein inky moujood bary Darul Ifta jaisay Jamia Tur Rasheed, Darul Uloom Karachi, Jamia Binoria, Aur Jamia Ashrafia Lahore say rabta kar kay apny masail poch sakti hai.
Pakaitan Mein Moujood Ahle Sunnat Kay Darul Ifta Kay Naam Aur Contact Number
- Jamia Tur Rasheed
- 021-36880325, 0321-2560445
- Darul Uloom Karachi
- 021 35123030
- Jamia Binoria
- +92317 1118263
- Jamia Ashrafia Lahore
- 04237429591
Final Words
Mahwari aik natural amal hai, aur ye ALLAH ki taraf say aik inam hai is say aurt ki takmeel (تکمیل) hoti hai aur wo maa (ماں) banny kay qabil ho jati hai. Isleay is mai parishan hony ki koi bat nahi.
Hum nay is article mein apni pori koshish ki hai kih apky har sawal ka jawab day saky likan agr phir bhi apky mind mein koi sawal hai to wo apni doctor, waledain (والدین), Ya bari behn (بڑی) say poch lay ya phir nichy comment mein bhi poch sakty hai.