Zina kya hai?
Nikah kay baghair mard aur aurt ka apas mein milap (yani mard ka azu tanasul aurt ki andam nihani mein dakhil ho jay) zina kehlata hai.
Jin chizo say jinsi taskeen hasil hoti hai wo bhi zina kay zumray mein dakhil hai jaisy:
kiss karna, touch karna, daikhna, jinsi khiyalat rakhty hwy kisi kay qareeb hona ye sab bhi zina kay zumry mein aty hai.
Gharz ye kih apni biwi/khawand kay ilawa kisi bhi namehrm kay sath koi bhi na jaiz taluq rakhna haram aur na jaiz hai.
Types Of Zina In Islam
Ahadees ki roshni mein mohadesin (محدثین) nay zina ki 2 qismain bayan ki hai:
1. Faeli (فعلی) Zina
Ajnabi mard ka ajnabi aurat say jinsi milap faeli(فعلی) zina kehlata hai aur is ki chand sortain hain:
Shadi shuda mard aur shadi shuda aurt ka zina
Ghair shadi shuda mard aur ghair shadi shuda aurt ka zina
Apny mehrm (yani jo mehrm محرم rishty hoty hai jaisy bhai behn waghira) say zina
Zina bil-jabar yani zabardasti zina
2. Majazi (مجازی) Zina
Ye failan (فعلاً) to zina nahi hai, magar ye zina faeli (فعلی) ki ibtidai seerhi (سیڑھی) hai.
Majazi zina ki 5 qismain hain:
1. Ankho Ka Zina
Namehrm mard ka namehrm aurt ko shehwat ki nazar say daikhna aur namehrm aurat ka namehrm mard ko shehwat ki nazar say daikhna, ankhon ka zina kehlata hai.
2. Kano Ka Zina
Namehrm mard ka namehrm aurat ki bat shehwat say sunna aur namehrm aurat ka namehrm mard ki bat ko shehwat say sunna, ko kano ka zina kehty hai.
3. Zuban Ka Zina
Namehrm mard ka namehrm aurat say shehwat aur ghalat bat karna aur namehrm aurat ka namehrm mard say shehwat wali aur ghalat bat karna, zuban ka zina kehlata hai.
4. Aaza (اعضا) Ka Zina
Namehrm mard ka namehrm aurat ko shehwat say chouna aur namehrm aurat ka namehrm mard ko shehwat say chouna, Aaza ka zina kehlata hai.
5. Dil o Dimagh (دل و دماغ) Ka Zina
Namehrm mard ka dil o dimagh mein namehrm aurat ka ghalat khiyal lana aur namehrm aurat ka dil o dimagh mein namehrm mard ka ghalat khiyal lana, dil o dimagh ka zina kehlata hai.
Zina Ki Saza
Zina kabira gunaho mein say sakht tareen gunah hai zina ki sharai (شرعی) saza ( had حد ) muqarar hai.
Agar koi shakhs faeli (فعلی) zina ka irtikab kary aur sharait (شرائط) kay mutabiq 4 gawahon (گواہوں) kay zariay, ya 4 martaba qazi ki majlis mein iqrar kay zariay (jis ki tafseel fiqa ki kitabo mein moujood hai) sabit ho jay to islam mein aisay fard par had zina ka nifaz karna lazim hai.
Zani mard aur zania aurat agr dono ghair shadi shuda ho to unko 100, 100 korray (کوڑے) mary jay gay, yeh un ki saza hai.
Agar dono shadi shuda ho to un ki saza Rajam (sangsar سنگ سار) hai.
Likan ye yad rahay kih sazaon kay nifaz ka ikhtiyar islami hukomat aur adliya (عدلیہ) ko hay, har fard ko sazaon kay nifaz ka ikhtiyar Shariat (شریعت) nay nahi diya.
Zina Ki Maafi
Agar kisi say zina sarzad ho jay to ALLAH tala say sachi paki touba kary aur ainda (آئندہ) zina aur is kay asbab say bachnay aur dour rehnay ki bhar pour koshish kary.
Agar banda sachi tauba kary ga to in sha ALLAH, ALLAH tala zaror us ki tauba qabool farmain gay aur usay gunaho say pak o saf farma day ga.
Zina Ka Kaffara (کفارہ)
Gunaho say mafi kay liay tauba kay ilawa aur koi kaffara nahi hai to isleay jis mard ya aurt say zina sarzad ho jay us kay liay Shariat (شریعت) mein hukam ye hai kih wo ALLAH tala kay huzoor apny gunah par pakki sachi touba kary.
Nedamat kay sath astaghfar kary aur ainda aisa na karny ka pukhta azm kary, aur apny is gunah ka kisi kay samny zikar na kary, umeed hai kih ALLAH tala is tauba say hi us kay gunah ko maaf kar dein gay aur akhirat mein is gunah ki waja say pakar nahi hoghi.
Zina Say Bachne Ka Tariqa
Zinakari aik qabeeh amal hai aur is qabeeh amal say bachnay kay liay khof-e-khuda ko dil mein utary aur isky sath sath in tips ko follow kary in sha ALLAH ap zina say bach jain gay.
1. Apni nazar ki hifazat kary. Nazar ki hifazat ki waja say na sirf insan gunah say bach jata hai balkih khof-e-khuda kay husool kay sath sath ibadat mein lazzat bhi paida ho jati hai.
2. Zina say bchny ka sab say behtarin tariqa nikah yani shadi hay. nikah (shadi) ibadat honay kay sath sath zina kari aur is ki taraf Raghib karnay waly khiyalat say bachnay aur sharam gah ki hifazat ka behtaren tariqa hai.
Lehaza jo musalman nikah ki istetat (استطاعت) rakhta ho usay nikah mein takhir nahi karni chay. Albata jo musalman shadi ki istetat nahi rakhta ho usay rozon ka ehtimam karna chahy.
Hadees mein Allah kay piyary nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ny irshad farmaya: ay jawano! tumhay nikah kar laina chahy q kih ye nigah ko ziyada jhukanay (جھکانے) wala aur sharam gah ki ziyada hifazat karny wala amal hai, aur jo is ki taqat na rakhay wo rozay rakhay.
Mazkora bala hadees mein bayan ki gai Hidayat (maslan مثلأ nazar ki hifazat, istetat استطاعت ki sorat mein bar waqat nikah aur rozon ki kasrat) par agr ap amal kary gay to umeed hai kih ALLAH is qabeeh amal say apko nijat dila day ga aur is haram amal kay mutaliq dil mein nafrat paida ho jay ghi.
Lehaza har musalman kay zimma hai kih wo is qabeeh amal say bachy aur zina par warid waidain (وارد وعیدیں) dil mein rakhy aur iskay sath sath apni tawajo aur raghbat (رغبت) ibadat ki taraf rakhy aur is gunah kay bary mein ALLAH tala say panah mangay.
3. Jis aurat kay sath gunah mein mubtala hwy ho, us aurat say dobara milnay, usay daikhnay ya us say bat cheet karny say mukamal ijtinab karay. balkih us aurat kay tasawur say bhi apny dil o dimagh ko bachay.
3. Kisi naik aur sachay ALLAH walay ki sohbat ikhtiyar karay, un ki majalis aur bayanat mein ana jana rakhain aur un say apni rohani amraz aur gunaho ki islah karwatay rahain.
4. Buray doston, buri sohbat aur gunaho walay mahol say apny ap ko bachain.
5. Zina ki dawat dainay walay alat (آلات), Maslan مثلأ TV, cabel, filmon waghera say dour rahain.
6. Agar nokri ya karobar waghera ki zarorat ki waja say smart phone ya computer waghera ka istimal karna ho to in chezon ko tanhai mein hargiz istimal na karay, balkih ghar ya office mein sab ki nazron kay samnay istimal kary.
7. Ghar mein, bahir, dafatir waghera mein namehrm aurton, khsosan rishta dar namehrm aurton (bhabi, sali, mumani, chachi, tai, khala zad, mamu zad, chacha zad, taya zad, phophi zad waghera) say nazron ki mukamal hifazat karay aur namehrm aurton kay sath tanhai mein hargiz na rahay hadees mein ata hai kih jaha koi mard o aurat tanha hotay hain to waha un kay darmiyan tesra shetan hota hai.
8. Rozana namaz-e- hajat parh kar apni aur apny ghar walon ki islah kay liay khoob girgira (گڑگڑا) kar dua karay, dua mein ronay ki koshish kary aur agar rona na ay to ronay wali shakal bana kar dua karay.
9. Jab bhi kisi gunah ka khiyal dil mein ay to ye tasawur karay kih ALLAH meray sath hai aur ALLAH mujhay daikh raha hai, aur wo mujhay azab dainay aur duniya o akhirat mein saza dainay par Qadir hai.
Agar khuda na khwasta gunah ho giya to duniya mein bhi raswai hogi aur qiamat kay din ALLAH tala aur (رسول اللہ صلی اللہ علیہ و سلم) aur tamam makhloq kay samnay bhi ruswai hogi.
10. Tamam farz namazon ki ba jumat ehtimam kay sath sath kasrat say darj zail duaon mein say koi bhi dua parh liya karay, ya sari duain aik sath bhi parh saktay hai, aur mukhtalif duaon ko mukhtalif auqat mein bhi parh saktay hain:
Zina Se Bachne Ki Dua
’’رَبَّنَا ظَلَمْنَا أَنفُسَنَا وَإِن لَّمْ تَغْفِرْ لَنَا وَتَرْحَمْنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ‘‘ [الأعراف:23]
Tarjuma: “Ay hamaray rab! hum nay apna bara nuqsan kya ( kih pori ehtiyat aur taml (تامل) say kam nahi liya) aur agar ap humari maghfirat na karay gay aur hum par reham na karay gay to waqai humara bara nuqsan ho jay ga.” (بیان القرآن)
’’اَللَّهُمَّ إِنِّيْ أَسْأَلُكَ الْهُدَى وَ التُّقَى وَ الْعَفَافَ وَ الْغِنَى‘‘
Tarjuma: “Ya ALLAH! mein mangta ho tujh say hidayt aur parhaiz gari aur parsai aur sair chashmi(سیرچشمی).” (مسلم)
’’يَا حَيُّ يَا قَيُّوْمُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيْثُ، أَصْلِحْ لِيْ شَأْنِيْ كُلَّهُ، وَ لَا تَكِلْنِيْ إِلَى نَفْسِيْ طَرْفَةَ عَيْنٍ‘‘
Tarjuma: “Ay hamesha zinda aur qayam قائم rehny wali zat! mein teri rehmat kay wastay say tujh say faryad karta ho kih meray saray mamlat ko droust kardy aur mujhay meray nafs ki taraf aik lamha kay liay bhi na saunp (سونپ).” (السنن الکبریٰ للنسائی)
’’اَللَّهُمَّ قِنِيْ شَرَّ نَفْسِيْ وَ اعْزِمْ لِيْ عَلَى رُشْدِ أَمْرِيْ‘‘
Tarjuma: “Ya ALLAH! mujay meray nafs ki burai say mehfoz rakh, aur mujay mery umoor (امور) ki islah ki himmat day.” (السنن الکبریٰ للنسائی)
’’اَللَّهُمَّ ارْحَمْنِيْ بِتَرْكِ الْمَعَاصِيْ أَبَدًا مَّا أَبْقَيْتَنِيْ‘‘
Tarjuma: “Ya ALLAH! jab tak ap mujhay zinda rakhain mujh par wo reham farmay jis say mein gunaho ko hamesha kay liay chor du.” (ترمذی)
’’اَللَّهُمَّ طَهِّرْ قَلْبِيْ مِنَ النِّفَاقِ وَ عَمَلِيْ مِنَ الرِّيَاءِ وَ لِسَانِيْ مِنَ الْكَذِبِ وَ عَيْنِيْ مِنَ الْخِيَانَةِ ، فَإِنَّكَ تَعْلَمُ خَائِنَةَ الْأَعْيُنِ وَ مَا تُخْفِي الصُّدُوْرُ‘‘
Tarjuma: “Ya ALLAH! meray dil ko nifaq say pak kar day, aur meray amal ko riya say, aur meri zuban ko jhot say, aur meri ankh ko khiyanat say, tujh par to roshan hain ankhon ki chorian (چوریاں) bhi, aur jo kuch dil chupay rakhtay hai wo bhi.” (الدعوات الکبیر للبیہقی)
’’اَللَّهُمَّ اجْعَلْنِيْ أَخْشَاكَ كَأَنِّيْ أَرَاكَ أَبَدًا حَتَّى أَلْقَاكَ ، وَ أَسْعِدْنِيْ بِتَقْوَاكَ ، وَ لَا تُشْقِنِيْ بِمَعْصِيَتِكَ‘‘
Tarjuma: “Ya ALLAH! mujhay aisa kar day kih mein tujh say is tarha dara karo kih goya mein har waqt tujhay daikhta rehta ho yaha tak kih tujh say a milo (آملوں), aur mujhay taqwa say Saadt سعادت day, aur mujhay shaqi شقی (badbakht) na bana apni maisat (معصیت) say.” (الدعاء للطبرانی)
’’اَللَّهُمَّ حَصِّنْ فَرْجِيْ وَ يَسِّرْ لِيْ أَمْرِيْ‘‘
Tarjuma: “Ya ALLAH! meri sharam gah ko mehfooz kar day, aur mujh par meray kam asan kar day.” (مناجات مقبول، الحزب الاعظم للقاری)
’’اَللَّهُمَّ لَا تُخْزِنِيْ فَإِنَّكَ بِيْ عَالِمٌ وَ لَا تُعَذِّبْنِيْ فَإِنَّكَ عَلَيَّ قَادِرٌ‘‘
Tarjuma: “Ya ALLAH! mujhay raswa na karna, bay shak to mujhay khoob janta hai, aur mujh par azab na karna, bay shak to mujh par har tarha qudrat rakhta hai.” (کنز العمال)
Zina Ka Azab
Zina ka azab kya hai is sawal kay jawab kay leay mufti sahb ko sun ly.
Kya Zina Ek Qarz Hai?
Is sawal ka jawab apko is video mein mil jay ga isko daikh ly.
Final Words
Zina aik lanat hai is say bachny ki bhar pour koshish kary aur apny ghar walo ki bhi islah kary. Agr ap naik hongy to apky bachy bhi naik hongy aur iska asar poray khandan par parhy ga.
Ye dunya aik arzi thikana (ٹھکانا) hai aur hum sab nay aik na aik din isay chor kar jana hai isleay sirf zina nahi balkih baqi jitny bhi gunah hai us say bachy aur akhirat ki tayari kary pata nahi kab kaisy aur kaha zindaghi ki sham ho jay.