Musht zani sa bachne ka amal, musht zani ka ilaj in urdu,musht zani means, musht zani,musht zani ka azab

Musht Zani Kya Hai?

Apny hath ki madad say mani kharij karny ko musht zani kehty hai.

Musht Zani Ke Nuqsanat

Musht zani yani masturbation karna na jaiz aur gunah wala amal hai is say bachna chay aur isky nuqsanat bhi hai q kih islam mein musht zani jaiz nahi hai aur jis kam say islam humain mana karta hai us mein koi na koi maslehat zaror hoti hai likan wo nuqsanat bilkul bhi nahi hy jo neem hakeem bataty hai aur logo say paisy batorty (بٹورتے) hai.

Musht Zani Kay Nuqsanat

Musht zani kay nuqsanat kay hawaly say jitny qissay kahaniyan aur afsanay (myths) mashahor hai shaid he kisi aur cheez  kay bary mein mashahor ho.

Urdu mein sex ki koi kitab utha kar daikh lay wo musht zani kay farzi nuqsanat say bhari hwi ho ghi, un nuqsanat mein say chand aik darj zail hain.

Musht Zani Ky Baray Mein Mashahoor Ghalat Fehmiya

Musht zani kay hawalay say mukhtalif logo nay ghalat fehmiya pehlai (پھیلائی) hwi hain jin ka haqeeqat kay sath koi taluq nahi.

Neem hakeem kehty hai kih musht zani say:

  • Khod aitmadi (خود اعتمادی) aur qowat iradi khatam ho jati hai
  • Dimagh aur benai (بینائی) kamzor ho jati hai
  • Zehni uljhanein barh jati hai
  • Banda tanhai pasand ho jata hai
  • Azu tanasul ki ragain (رگیں) ubhar ati hai aur terha (ٹیڑھا) ho jata hai
  • Azu tanasul darmiyan mein se patla ho jata hai
  • Study karny ka dil nahi karta
  • Hafza kamzor ho jata hai kuch yad nahi rehta
  • Sports mein hissa lainy ka dil nahi karta
  • Maida (معدہ) khrab ho jata hai
  • Bhook khatm ho jati hai
  • Chehra har waqt by ronaq rehta hai
  • Gaal pichak jatay hain

Musht Zani Se Kaise Bache

Musht zani ke gunah se bachney aur is ki adat se chutkara hasil karne ke liye naik sohbat ikhtiyar karay.

Agar in gunaho se bachna mushkil ho raha ho to ye sochain kih agar ye gunah karte waqt mujhe mere walidain (ya koi bhi aisay rishta o talluq wala shakhs jis se insan apna gunah chupana chahay maslan asatza waghera) daikh lay ya unhain ilm ho jaye to kya mein un ke samnay yeh gunah kar sako ga? ya sharminda hon ga?

Phir ye sochain ke jab mein walidain ke samnay gunah se sharmata hon to ALLAH tala jo har waqt mujhe daikh raha hai, jo mera khaliq aur haqeeqi mohsin hain aur hisab o kitab par mukammal Qadir hain, un ke samnay mein kis mun se hazir hon ga.

Neez ye sochain kih qayamat kay din agar walidain, behan bhaiyon, asatza, doston aur tamam makhloq ke samnay bata diya gaya kih falan (فلاں) bin falan ne falan din falan waqt yeh gunah kya hai, to us waqt admi sharam se pani pani ho jaye ga.

Qayamat ka wo manzar sochain to umeed hai kih gunaho ka tark karna asan ho jaye ga aur un sab baton ki adat paida karne ke liye ALLAH tala ke naik bando (بندوں) ki sohbat intehai zarori hai.

Is ke sath sath farz namazon ki pabandi ke ilawa ALLAH tala se un gunaho se bachney ki khusosi dua karte rahain.

Hamari bhi dua hai kih ALLAH Tabarak o tala apko is gunah samait tamam gunaho se sachi tauba ki toufeq atta farmain, aur shariat ke ahkam par chalna asan farmain.

Neez is ke sath sath mandarja zail chand aamal ka ihtimam bhi karain:

  • 1. Jitna jaldi mumkin ho shadi kar lay, aur shadi ke silsilay (سلسلے) mein muashray mein raij akhrajat agar nahi bardasht kar saktay to sadghi ke sath kisi Mutwast ya ghareeb gharane mein shadi kar lay. Hadees mubarak mein hai kih us nikah mein sab se ziyada barkat hoti hai jis mein kam kharch aur bojh ho.
  • 2. Agr shadi phir bhi possible nahi to phir kasrat se rozay rakhain, rozay rakhnay ki taqat nahi hai to jitne rozay rakhnay se shehwat aur qowat totnay lagay itnay rozay rakhain.
  • 3. Hamesha ba wazo (باوضو) rehne ki aadat banain.
  • 4. Har waqt zikar ka ihtimam karain, siwaye washroom, ghusal khanay aur aisi jaga ke jahan zikar karna durust nahi hai.
  • 5. Tanhai mein waqt na guzarain. aur jab tak ye adat na chotey rozana do rakat nafil tauba o hajat ki niyat se parh kar ALLAH se is gunah se chutkaray ki dua mangain.

Musht Zani Chorne Ki Dua

Musht zani say bachny kay leay kasrat se is dua ka vird karain:

  “اَللّٰهُمَّ إِنِّيْ أَسْئَلُكَ الْهُدٰی وَالتُّقٰی وَالْعَفَافَ وَالْغِنٰی”

Kasrat ke sath syed ul astaghfar parhnay ka ihtimam bhi karain, in sha ALLAH ye adat jald hi chot (چوٹ) jaye ghi. 

Syed ul astaghfar ye hai:

“اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لاَ إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ، خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ، أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَيَّ، وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي فَاغْفِرْ لِي، فَإِنَّهُ لاَيَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ”. (صحیح بخاري)

Aurton Mein Musht Zani

Jaisay larky apni khwahishat ko pora karny kay leay musht zani karty hai wesy larkian bhi ye kam karti hai. Likan larkion mein musht zani ki shara larko ki nisbat kam hai. Musht zani aik na jaiz aur haram amal hai is say bachna chay chahy mard ho ya aurat.

Musht Zani Ke Baad Ghusl

Yaad rahay kih musht zani karna na jaiz aur gunah hai, isleay is say toba karni chay aur is amal say bachna chay likan agar musht zani say inzal ho jaye to ghusal farz ho jata hai, isleay phir apko ghussal karna chay.

Musht Zani Say Mardana Kamzori Ho Jati Hai

Boht sary neem hakemo nay ye bat mashahor ki hai kih musht zani say mardana kamzori ho jati hai likan jadeed research kay mutabiq aisa kuch bhi nahi hai, balkih bahir kay mulko mein to musht zani ko mardana kamzori kay ilaj kay tour par istimal kya jata hai.

Final Words

Shehwat ka ana aik natural amal hai, agr koi boht ziyada naik aur parhaiz gar bhi ho to shehwat usko bhi ati hai q kih ye chiz insan kay nature mein ALLAH tala nay rakhi hai.

Isleay apni shehwat ko haram tariqo say pori kanrny ki bajay halal tariqy say pori kary. Aur iska halal tariqa nikah yani shadi hai, agr aik biwi say guzara na ho to 2 kar lay, 3 kar lay, ya 4 kar ly islam mein iski ijazat hai.

Ajkal shadi ko boht mushkil bana diya gya hai aur zina ko asan to isleay bajay in rasm o riwaj mein parny kay aik sada tariqy say shadi kary aur apny apko gunah say bachay.

Disclaimer: The information in this article is for educational purposes only, and it is not personalised medical advice for your specific condition. Always seek advice from your physician or other qualified healthcare provider before following any suggestions or treatments mentioned in this article.

Similar Posts

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *