Mardana kamzori kya hai

Bohat se log hazaron ruppay kharch kar kay apni Quwat-e-bah main izafa kai khwahish mand hotay hai. aur is maqsad ko hasil karny kai leay wo tarah tarah ke dawayon ka sahara laity hai.

Ghalat dawayon kai istemal karne ki wajah se sehat par bura asar parta hai, yahan tak ke bohat se logon ki kidney, lungs ya kisi aur hisse mein bhi nuqsan ho jata hai.

Kitne aise log dekhe gaye hain jo hakeemo se mardana taqat ka ilaj karwate hue mar gaye, Q kih aksar hakeemo ki dawaaon mein heavy metals jaise ke gold, silver, copper aur steroids hoti hain, jo kidney ko fail hone ka sabab ban sakti hain.

Mardana kamzori ya namardi aisi bimari hai jo doosri bimariyon ki wajah se bhi ho sakti hai. Maslan, cancer, AIDS, aur doosri bari bimariyan insan ko lag jaye to sehat down hony ki wajah se quwat-e-bah bhi kam ho jati hai.

Mardana Kamzori Ka Ilaj

Aam taur par bukhar ya is trah ke mamoli bimariyon se temporarily insan ki quwat-e-bah bhi kum ho sakti hy.

Magar in sab cheezon se hat kar dekha jaye to kuch aisi bhi habits hain jo quwat-e-bah ko kamzor karti hain, jaise zyada masturbation, kasrat-e-mubashirat, ya bahut zyada jinsi mubashirat karna, ye sab aadatein mardana kamzori paida karti hain, aur bohat si dafa insan namardi tak pohanch jata hai.

Aur aksar ye dekha gaya hai ke ek aadmi jo pehle bohat zyada masturbation karta hoga, woh kasrat-e-ehtelam, sarat-e-inzaal, ya jaryan ka shikar ho jata hai, aur erections bhi kamzor ho jati hain, ya phir jama karte waqt jaldi farigh ho jata hai.

Mera maqsad yahan kisi ko fazool mein pareshan karna nahi hai, balkih ek aisi haqiqat ko bayan karna hai jo aaj kal ky har nojawan ko darpaish hai.

Waisay to medical science ky mutabiq musht zani haftay mein ek dafa karny sai jism relax ho jata hai aur iska koi nuqsan bhi nahi, magar hamein Islam ko bhi dekhna hai, Islam mein masturbation haram hai, is liye iska nuqsan zaroor hai.

Aur jo log pehle se masturbation karte aaye hain, un mein alag alag jinsi bimariyan bhi dekhi ja sakti hain.

Magar is baat ko yaad rakhein ke agar aapne zyada masturbation ke hai to aapka dimagh ya sehat kamzor ho sakti hai.

Haqeeqatan mein zyada masturbation se sehat per boht zyada farq nahi padta, lekin kuch negative asar ho sakta hai, aur zyada masturbation se jinsi hormones produce hote hain jo dimagh ki sargarmi par asar andaz hokar poore jism mein keemiyai tabdeeliyan laty hain.

Mardana kamzori ke sab sy bari waja kya hy?

Mardana kamzori ya namardi ki sab se bari wajohat zail mai hai:

Alcohol ka ziada istemal aur khatti cheezein, jo balgham ko ziada paida karti hain, bhi mardana quwat per asar andaz hoti hain.

Zehni tanaav (stress), thakan (tiredness), ya kisi nashy ka zyada istimal bhi iski aik waja ho sakti hai.

Ye kuch medicine ki side effect ki waja sy bhi ho sakti hai.

High blood pressure ya high cholesterol bhi iski aik waja hy.

Aur kuch aur bhi wajohat hy jaisy sugar (diabetes), Zehni dabao (depression) ya koi pareshani (anxiety). Harmon ky kuch masail (hormone problems).

Atmosphere aur aas paas ke mahaul ki bhi ahmiyat hai. Yaani har cheez jo sehat ke liye nuksande hy, us sy mardana kamzori per bhi asar par sakta hai.

In short, mardana kamzori ka taluq sehat sy hai. 

Mardana Kamzori Ki Wajohat

Mushtzani (Masturbation) Aur Quwat-e-Bah (Mardana Kamzori) Ka Taluq

Buhut ziada masturbation karnay se quwat-e-bah main kami ajati hai aur sex desire bhi kam hojati hai.

Agar koi masturbation chor day to aksar logo ko baad mein ehtelam ki kasrat hojati hai ya phir jaryan hojate hai (yani peshab karnay kay baad ya peshab karnay say pehlay ya peshab ky doran main semen nikalta hai). 

Masturbation jaryan ke aik waja hy, iski kai aur wajohat bhi ho sakti jaisy qabz. Jin logo ko qabz ke shikait hoti hy wo peshab karty hvy zor lagaty hy jiski waja sy bhi qatry kharij ho jaty hy, isleay un logo ko pehly qabz ka ilaj karna chay.

Es trah Masturbation Ehtelam ki aik waja hy, ehtelam ki kai aur wajohat bhi ho sakti hy.

Musht Zani Aur Wehm

Aksar nojawano ko is bat ka elam nahi hota aur jab wo kisi hakeem ky pass jaty hy tu wo unko jaryan aur ehtelam ky naam sy dara dety hy kih ye tu boht barhi bemari hy, aur chonkih unko pata nahi hota tu wo hakeem ki bato main a kar dar jaty hy aur ye chiz unky mind mai bait jati hy kih ye tu aik boht barhi bemari mai hum mubtila ho gy hy aur aisa he hony lagta hy q kih demagh aur sex ka apas mai boht gehra taluq hy. 

Iski mai apko yaha aik example dunga ap thori dair ky leay ankhain band kar ly aur imagine kar ly kih apke sans nikal rahi hy aur ap mar rahy hy, thori dair bad apko sach mai yahi feel hony lagy ga kih ap tu marny waly hy halankih thori dair pehly tu ap thik thak thy yahi example iske sexual life mai bhi hy kih Jab ap hakeem ke bato mai aty hy kih ap kamzor ho rahy hy tu ap sach mai aisy hony lagty hy.

Halankih medical science sy ye bat sabit hy kih jaryan ya ehtelam koi bemari nahi hy aur na insan is sy kamzor hota hy aur na iski ilaj ke koi zarorat hy. 

Doctors kehtay hain kay masturbation kitni bhi karo faraq nahi parhta mardana kamzori per. Lekin is haqiqat se inkaar nahi kiya ja sakta kay jo log mazi main ziada masturbation karte hain zyada tar unhi kay sath sarat-e-inzaal aur ehtelam aur penis ki kamzori ka masla hota hai.

Masturbation ka itna zyada nuqsan nahi hy jitna bataya jata hy lekin agr ye zyada kya jay tu phir isky boht sary nuqsanat hy. beharhal hum muslman hy aur islam mai ye haram hy isleay is sy ijtinab karna chay.

Mushtzani ko chor kar baki cheezo mein bhi agar kisi cheez ki kami ya zyadti ki jaye to nuksan hota hai.

Mushtzani ka bhi yahi masla hai, agr bilkul na ke jay tu koi masla nahi. Lekin agar buhut ziada kardi jaye to bara masla ban jata hai.

Beharhaal, agar bachpan mein ziada mushtzani ki bhi hai aur yeh masla hogaya hai to pareshan nahi hona chahiye, aur masturbation ko chor dena chahiye aur ghiza aur exercise per tawajjo deni chahiye.

Hamesha woh artificial cheezain jin se temporary penis erect hota hai aur admi sex karta rehta hai, un se bachna chahiye, jaise spray, chewing gum, Viagra, wagera, kyunke ye permanent hal nahi hy iska.

Es liye mardana kamzori ky ilaj ky liye kisi achy urologist jiska experience ho mardana kamzori ky amraz mai us sy apna  check up karwana chay.

Achi khurak se be ye masla hal hojata hai khud ba khud. Apny bas achi khorak khani hy jaisy fruit, dhodh, kajorain waghira. Aur apny zehn ko positive rakhna hy isko sir par sawar nahi karna ye koi itna barha masla nahi hy hal ho jata hy. Jaisy baqi amraz ka ilaj mumkin hy aisy iska bhi hy.

Mardani kamzori ka ilaj kaisy kary?

Mardana kamzori, yaani ki erectile dysfunction ya premature ejaculation (PE) ka ilaj medical guidance ke saath kiya ja sakta hai. Mardana kamzori ke ilaj ke liye niche kuch important points hain:

Mardana Kamzori Ka Ilaj

1. Doctor Se Mashwara Kary

Sabse pehle, agar aap mardana kamzori se pareshan hain, toh ek qualified doctor Urologist ya sexologist se consult karein. Wo aapke case ko evaluate karenge aur sahi diagnosis ke basis par treatment suggest karenge.

2. Lifestyle Changes 

Apny lifestyle mein kuch changes la kar ap mardana kamzori ka ilaj kar sakty hai. Jaise kih smoking aur alcohol se parhez, healthy diet, regular exercise, aur stress management yani zehni dabao sy bachna.

3. Medications Yani Adwiyaat sy ilaj

Kuch cases mein, doctors medicines prescribe karte hain jaise ki Viagra (sildenafil), Cialis (tadalafil), ya Levitra (vardenafil). Yeh medicines blood flow ko improve karke mardana kamzori ko dour karte hain.

4. Psychological Counseling

Mardana kamzori kai baar psychological issues se bhi ho jati hai jaisy Anxiety, depression, ya relationship problems ke waja sy. Is case mein, aapko kisi achy psychologist ya therapist ki madad laini chay.

5. Kegel Exercises

Kegel exercises pelvic muscles ko taqtwar karne mein madad karte hain, aur ye premature ejaculation ko control karne mein bhi  help karti hy. (Link)

6.Herbal Remedies yani Mardana kamzori ka desi ilaj

Desi Adwiyaat mein bhi mardana kamzori ka ilaj moujood hai. Kuch qudrati jadhi botian aur nuskhy hai jo mardana kamzori ke liye faida mand sabit ho sakti hain, desi Adwiyaat ka istemal kisi achy hakeem ki negrani mai karna chay.

Lekin ajkal achy hakeem ka milna boht mushkil hy isleay mera mashwara hy kih ap kisi achy doctor sy he ilaj karway.

7. Surgery yani operation sy mardana kamzori ka ilaj 

Boht he kam cases mai iski zarorat parhti hy is main azu tanasul (penis) ki surgery ki jati hai, especially agar koi physical issue ho jaisy koi chot waghira lagi ho ya kisi sharyan ka masla ho.

8. Avoid Self-Medication Yani Khud sy Adwiyaat na ly

Khud se kisi bhi qisam ki koi dawai ya nuskha na ly. Sirf doctor ky mashwary ky sath treatment shuru karein.

9. Apni Biwi Ko Aitmad Mai Ly

Apni biwi ky saath khul kar baat karein kih apko mardana kamzori ka masla hy aur ap iski treatment kar rahy hy aur ye koi bara masla nahi hy thik ho jay ga.

Agr apki biwi apka sath dy aur apko tasali dy tu ye masla boht jald hal ho jata hy.

Be Patient Yani Saber Rakhen

Mardana kamzori ka ilaj karwate waqt saber rakhen, aur ye yad raken keh har bandy ka system dusray bandy sai alehda hota hai, is liye wo ilaj jo ek banday ke liye kaam karta hai, woh dusre ke liye nahi bhi karta.

Aur mardon mein ye bemari aksar nafsiati hoti hai is liye mutmaen rahay aur hamesha yeh tasawur kere ke aap theek ho rahay hai.

Agr apky mind mai koi solution ya koi suggestion ya jo ap par ye bemari guzri ho tu zaror comment kary.

Disclaimer: The information in this article is for educational purposes only, and it is not personalised medical advice for your specific condition. Always seek advice from your physician or other qualified healthcare provider before following any suggestions or treatments mentioned in this article.

Similar Posts

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *